Ishq Kr k Dekh Li Jo Bebasi Dekhi Na Thi | Hakeem Nasir | Poetry Junction

  • 3 years ago
Ishq kar ke dekh li jo bebasi dekhi na thi
Is qadar uljhan mein pahle zindagi dekhi na thi

Ye tamasha bhi ajab hai un ke uth jaane ke baad
Main ne din men is se pahle tirgi dekhi na thi

Aap kya aae ki rukhsat sab andhere ho gae
Is qadar ghar mein kabhi bhi raushni dekhi na thi

Aap se aankhen mili thin phir na jaane kya hua
Log kahte hain ki aisi be-khudi dekhi na thi

Mujh ko rukhsat kar rahe hain wo ajab andaz se
Aankh mein aansu labon par ye hansi dekhi na thi

Kis qadar khush hun main 'nasir' un ko pa lene ke baad
Aisa lagta hai kabhi aisi khushi dekhi na thi

Recitation of poetry is deeply regarded for expressing your true feelings. It has been observed that poets in the past used to say poetry that depicts the social, cultural surroundings of their era.The poets used poetry as a weapon to put their thoughts forward for the readers. The poets are known for reviving romance, culture, social & political issues in the form of poetry collections. Depiction of true feelings and sentiments gave life to poetry.

Recommended